Monday, September 1, 2008

Mere Sapno Ka Bharat.


Bas yunhi ek vichaar aata hai mann mein ki mere sapno ka Bharat kaisa ho,
To aaj main batata hoon tumko mere sapno ka bharat kaisa ho...

Naya yug nayi bhour ho, chetanya chahu aur ho..
Koi vichaar na aaye jab mann mein, bas utthaan par hi gour ho.

Kundalini ka utthaan ho, har pranni ke mann ka utthaan ho..
ek naya din nikalae jab sabmein desh ke liye sammaan ho.

Na vastrhin ho jann koi, na baccha jahan koi bhukka ho..
Na baad aaye kisi nagar mein, Na pradesh koi sukha ho.

Jahan puji jaye har nari,Jahan har baccha ganesh ho..
Jahan paraya na ho koi, har dharam ka samavesh ho.

Har dil mein ho prem bhara jahan, har aankh mein sharam ho..
Na ho koi hindu musalmaan sikh isaayi, bas sahaja ek dharam ho.

Har baccha ho shikshit jahan, har nagrik ke paas rojgaar ho..
ho log madhurbhaashi jahaan ke, har vyavhaar mein sadaachaar ho.

Sukh shanti niranand ho har jagah, Atankvaad ka ant ho.
Gandhi Shastri Shri P K Salve ji ki is dharti par har koi sahaji aur sant ho.

Shri Mataji se natmastak hokar hai prarthana meri ki mera sapna yeh sach ho jaye..
Mera desh badal jaye ek sahaja parivaar mein, iska naam sahajisthaan ho jaye.

4 comments:

Pankaj Sharma said...

JSM JI
bhaiya
really nice wrds

Poonam :) said...

JSMJI!!

Beautiful sketch and awesome words bhaiya!! :)

ADARSH SINGH said...

used nice words in the poem and your dreams are aloso too nice.......

Dev said...

Agr hm sb ak sachche viswas ke sath kuchh thos kadam uthaye,agr hmare desh ka prtinidhitwa achcha ho , log jagrook ho jaye unhe sachcha marg darshan mile to ye jo apka-hmara spna hai wo pura hoga.hm navpidhi ise pura krenga.

Our Divine Mother..!